Detail NewsDetail News

2responses

avatar

Mundarja bala mazmoon laiq-e fikar hai, jis se khas kar musalman tabqa door hota jaraha hai, dar asl hota ye hai ki, taleem ke mukammal hote hi job search ki shuruat hot hai, jahan urdu medeam me padhe ladke bahut buri tarah mutassr hote hain, aage chal kar yahi naujawan apne bachon ko is musibat se chutkara dilane keliye english medeam me dakhila dilwate hain, aur islami nazriye ko nazar andaz kar jate hain... aur urdu jaise sheerin zuban ko kadwa zahir karne lag jaate hain... hum musalmano ko chahiye ki urdu ke saat saat english,kannada,ya hindi me bhi maharat hasil kare.... ta ke hum kisi se piche na rahe, hamare idaro ke english aur kannad teachero per nazar rakhni chahiye, jab wo class me ayen to bachchon se sirf kannad ya english me baat karen taki kuch practicle ho jaye...........islam har mod per rehnumai karta hai.. kitni dafa aisa hota hai ke koi ghair ghalat kaam karta hai to hume usey samjhane keliye uski zuban theek tor se nahi aati..jo ke tableeg ka ek achcha moqa hota hai, hamre madraso me bhi nat nai ejadat ka istimal hona chahiye, quran aur islami tableeg ko aam karne ke liye hum achche presentation ke zariye apni baat dusro tak pahuncha sakte hain, ek se ek web design kar sakte hain, media jitna kafirana soch phela raha hai uske khilaf awaz uthane ke liye hume media ka istimaal zaruri hai......... hame sabse pehle apni soch ka daira wasee karna hai, yani madraso me computer ki baat karen to ek tabqa iske khilaf awaz uthane lagta hai, ye sab dunyavi chizen hain...lekin yahi ek madrase ka talib-e-ilm hafiz o muallim jab computer course ke liye join karta hai to use saraha jata hai ki yeh ajkal ki zarurat hai, jab ke in classes me na muharrah ladkiyun ka b wajud hota hai to kabi padhane wali bhi ladkiyan hoti hain....... allah kehne sunne se zyada amal ki taufeeq naseeb farmaye ameen...

mohd sahil (bhatkal)
Jul 03 2011

avatar

MASHAALLAH,KIYA KHUB LIKHA HAI,Gar is per 2 fisad log bhi jaag jayain tow phir ma\'shrey main bahut si tabdliy aasakti hai.ALLah haim taufeeq dain

abdul salam kazia (bhatkal)
Jul 02 2011

Leave a reply for this Article

Name *
Email * Phone * Location * Comment *
* your email and phone will be private and confidential by clicking on submit button you agree to our TOS