Fikr o khabar.com par Maulana Hashim ko bahut bahut Mubarakbaad. 1.is web site sey gair muslimaun me Islaam or Nabi akram Mohammed(sallallahu alaihi w sallam)ka taaruf,dawat e Islaam ka fareeza ada ho.yahi 1st & last hadaf o maqsad ho. 2.kisi bhi fiqhi ikhtilafi masle ko bilkul touch na kren jis se awami intishar ho.elmi ikhtilaaf kaliye calasess hain na k akhbaar or chawrahey. 3.elmi aadaab o elmi amanat ka pura khayaal ho. 4.apni raai ya peash karda mazmoon ko wahee Elahi na samjhen. 5.pechan only Islam ho.kisi bhi tahreek ki chaap ya us k tarjumaan o zabaan na bney. 6.apni aqal o samajh use karen.fikri,aqli,zehni gulami na ho. dua hai k Allah khuloos or etaat e Rasool se khidmat deen ki taufeeq de.AAMEEN AAMEEN AAMEEN
UBAIDULLAH ISHAQUI MAKKAH (MAKKAH)
Dec 30 2012
PART NO 2: Mujhe ummeed hai k a web site only fikr o khabar hi nahi bal k fikr o inqalab sabit hoga. meri neak tamannayen wo duaayen aap k saath hain. Bhatkali Ulama ko dawti maqasid k liye apna T.V channel bhee open karna chahiye.ta k batil ka puri taqat wo quwwat se muqabala ho.a kaam ALI MIYAAN Academy ya Mawlana Hashim bhee kar saktey hain. والله ولي التوفيق
UBAIDULLAH ISHAQUI MAKKAH (MAKKAH)
Dec 30 2012
PART NO 1: Fikr o Khabar.com par Maulana Hashim Nadwi ko bahut bhaut Mubarak baad deta hoon.wo is kaam k ahal wo mustahiq hain.wo Maulana Salman Husaini Nadwi Shb k tarbiyaafta hain.Allah ne unko bahut nawaza hai. Sahafat ko islami zawabit wo qawaid ka paband hona chahiye.uspar personal fikri tasallut wo chaap na ho.kisi masley mein tarafain ko barabar ka mawqa dein.janib dari na ho.kisi dusri raae ko fitna se tabeer na karein.apni raae par majboor na karein.yahi Imaamus Sunnah:Ahmad bin Hanbal or Imaam Darul Hijrah:Maalik ka amal thaa.shar,yee masa,il mein anaaniyat na ho.poori ilmi amanat k saath masley k tarafain ko pesh karein.al batta apni tarjeeh ka haq hai.lekin dusri raae ko fitna ka ittihaam dena ya shar,ee masa,il me ejara dari ka bilkul haqq nahi.Shareeyat e Islamia anaaniyat wo jazbatiyat se bilkul baree hai.agar seena itna chawda na ho to starting hi se ikhtilafi masa,il ko touch na karein.
UBAIDULLAH ISHAQUI MAKKAH (MAKKAH)
Dec 30 2012