Detail News

11responses

avatar

I have following observations on Eid Milan functions: 1. The local artists/children perform in these functions as per scripts given to them or their scripts reviewed by the Organizing committee.However, one cannot have control over type of jokes delivered by humorist/mimicry artists who are specially invited to perform in these functions. 2. The details of top prizes in raffle draws are normally announced/ published in media. In my opinion, there is no harm in in the prizes that are given if the intention of people when purchasing token was not to get a chance for the draw. However, if motive for participating in such function is to obtain a token for draw, then it may not be permissible, as it looks like pure gambling. Hence, in my personal opinion, for future events, the organizing committees should review the following: 1. Inclusion of raffle draws as part of program in our Community get together. 2. Inviting outside artists for conducting humor/mimicry shows.

Abdul Haseeb Kadli (Abu Dhabi)
Oct 09 2012

avatar

moulana shareef ne jo bhi likha hai us par har kisi ne apna apna comment likha hai maine para lekin main samajta hoon ke ye koi ghalat kaam to nahi hai bhatkal muslim jama at ke naam salana mimbar ship chanda ada karrahe hain to isi munasibat se humari jama at sabko ek pilet from par jamaa karrahi hai is eid milan men pareshan haal lougon ka khayal rakha jaraha hai burma asam rilif bhi jamaa karti hai isi tarah yahaan par bhi ulamaye kiram hain or is se pehle aap khud shareeke mefil hotethe to aaj achcnak aap ko kiya huwaaa is men koi kharabi to nahi or is men samajdaron ki kami nahi hai ye aap ka nazriya hai to aap midia men nahi uchalte shayed aap bhi jama at ke mimbar honge is comety men aap jaise or bhi ulamaye kiram moujud hain to aap un se mashouron ke baad zimmedaroun tak apni baat ko pohcha sakte (ye mera nazria tha jo aap tak mida ke zariye hi se pohcha rahahooonnnn )

nufail (al raas deira dubai)
Oct 07 2012

avatar

assalamualaikum editor saheb mujhe aap par shikwa hi ke my ne to 2 mazmun likha tha lekin 1 ko keu kat diye islah keliye o to asl tha aur zimme darau ko kuch ahsas bhi ho sakta tha aap ne use keu hata diya pata nahi agar usko shaye kare to badi meherbani hogi usme kuch galat to nahi tha to phir keu hataya

abdullah (dammam)
Oct 06 2012

avatar

md ali sharif qabile mubarakbad hain.ke unnune in fuzul kharch aur riya kar loguon ke samne haq baat kehne ki himmat ki.ye eid milan partiun ka paisa majbur aur maflukulhal muslmanu me taqsim kare to kitna aaccha hota.

wadapa maleka ()
Oct 05 2012

avatar

maulawi ubaidullah saheb se 1 sawal ke jab jamia ka program ka agaz huwa to tum ne gulf ki jamaatau ko khat likha aur jamia par bade bade ilzamat lagae y aur ab gulf ka muaamila aya to gulf walaun ko khat likhne me kya huwa halanke chahiye a tha ke jisko likhna hi usi ko likhe lekin tum bilkul aks kar rahe ho beemar hotahi koei iyadat karte ho kisi ki zara apni islah kare ok allah haafiz

abdallah (dammam)
Oct 04 2012

avatar

salamu alikum ............. waqai m ali sahab ne haq bat bahut saf andaz me kahi hai awr nadvi hone ka haq ada kiya hai ab ap ka amal bhi is ke mutabiq ho to awam per asar pade ga ap jo eed milan hone wali hai us me ulama shirkat na karen awr ulamye barhaq hone ka suboot den / agar aisa huwa toayinda ayse fuzool kamaw se bacha ja sakta hai /warna awam khud sawal karenge [لم تقولون ما لا تفعلون

syedbapu (BHATKAL)
Oct 03 2012

avatar

part no 2 hamesha 1 baat yaad rakheyn: (haqq ko afraad se pehchana nahi jata.bal k afraad ko haqq se pehchana jata hai.koi bhi aisey parogarams.kisi deeni shaksiyat ki shirkat ya ejazat ya aksariyat hargiz hargiz sharyee hujjat o daleel nahi hai.Munkar Munkar hai.usko khoobsurat titel deyne se,ya kisi our heela o bahana se,ya kisi sahksiyat ki shirkat se,ya aksariyat se Munkar Maroof nahi hota. mai mazmoon nigar ko mubarak baad deta hoon k izhaar e haqq ka fariza ada kiya.jo Bhatkali ulama ka khususi imtiyaaz hai.baqi hidayat,o Allah k haath me hai.jis k ham mukallaf nahi. (akheer me har har Jamat se nihayat adab o ehtiram se darkhast hai k in rusoomaat o riwayaat se parheaz karen.) Allah hame deen ki sahi samajh ataa kare.shuroor o fitnaun se Ibleesi jaalaun o chaalaun se hifazat farmaye.آمين آمين آمين

UBAIDULLAH ISHAQUI (MAKKAH)
Oct 03 2012

avatar

part no 1 Maulawi Md Ali Shareef Nadwi ka mazmoon haqq ki aawaaz hai.1st is mauzu par mai ne ulama kiram ko emails our msgs kiye they.Bhatal news or Bhatkallys.com me Eid milan partiyaun par Arabi comments bhejey they.jis k asli mukhatab ulama kiram they.jis me fatwa ki shakal me sawal kiya gaya tha k: (in Eid milan partiyaun ka sharyee kiya hukm hai? our is par khamushi ikhtiyar karni kaisi hai?) mai ne mazmoon nigar ko bhi email kiya tha.jis ne mujh se mazmoon likhne ka taqaza kiya tha.mai nahi likh saka.lekin meri shadeed kha,ish thi k koe AAim e deen is par aawaaz utha tha.a mazmoon sirf meri our mazmoon nigar ki aawaaz nahi.bal k har har sahab e haqq ki aawaaz honi chaye.

UBAIDULLAH ISHAQUI (MAKKAH)
Oct 03 2012

avatar

Moulana ne jo likha hai wo ummat k her dardmand aur bagairat musalman ki awaaz hai khaas ker hamare bhatkal me aaj kal chand secular logon ki imaa per islam se door kerne ki koshish ki jarahi hai,pehley ki banisbat aaj hamare noujawanon me islam ka wo jazba aur Allah aur rasool ki mohabbat ka izhaar kerna kam hogaya hai....ager humko hamri party ya hamari khahishaat Allah aur uske rasool se ziyada azeez hai tou ye hamare imaan k liye khatrey ki ghanti hai.......pata nahi kis liye aaj hamre log in cheezon ko mehsoos nahi ker rahe hai........moulana ka mazmoon ek dusre akbhar mei bhi shaya huwa tha lekin ab waha usko hata diya gaya hai mazmoon jo 100 feesad haq per mabni tha aur haqayiq ko uajager kia gaya tha mazmoon me usko hataney ki waja meri samjah se bahar hai ..kia hum haqayiq ka samna nahi kerna chateye hai ya jaan booj ker islam se door hoker nafsani khahishaat me pade huwe hai............Allah hi hamey sahi samajh ata farmayein

Mohammed muallim (Dubai)
Oct 03 2012

avatar

i dont know who started this party by EID MILAN, sach kahon to EID MILAN k naam par sab bhatkalies se milna accha lagta hai, but alam e Islam k baren mein soche to bahut takleef hoti hai. kash ham sab musalman is ko samjhen

Ikkeri (dubai)
Oct 02 2012

avatar

masha allah moulana ka mazmoon islami baidaari ko ubarta hai. maoulana nai jo kuch likaha hai o 100% sahi hai. allah tala moulana ka jazai khair ata farmaye. aj doona jis soorat haal sai goozar rahi hai har taraf islam,quran aur masalmalon kai khilaf sazishai ho rahi hain,islamiyat aur magribiyat ki kashmakash kai is door mai mai musalman gafil hain, phir allah hi hafiz. eid milan ki shiryi koyi haisiyat nahi hain, ajkal jo eid milan horahi hai, usmai islamiyat naam ki koyi chez nahi hai. eid milan kai bajai agar programme dini baidari paida karne kailiya aur musalmano ko muttahid hokar allah kai rasool ka mazaaq aur ihanat karne walo kai khilaf mazammati qaraardad pesh karai to pahattar hotaa. aj sab sai badi zarrot apne tammam nazaryat ko chod kar islam kailiya muttahid hona hai. allah tala hamm saab ko sahi deeni samaj ata farmay hai, aur apni zindagi kai har goshai ko allah kai hokom rassullolla sallallaho alaihi wasalam kai tarika kai mutabiq guzarne ki tofeeq ata farmaye. ameen.

muhammad Ziya ul haq nadvi malpa (Bhatkal)
Oct 02 2012

Leave a reply for this Article

Name *
Email * Phone * Location * Comment *
* your email and phone will be private and confidential by clicking on submit button you agree to our TOS