Detail NewsDetail News

21responses

avatar

A/S jb khalil sahieb ka istefa anjuman ki cihat k liye acha nahi hai.murhoom zafar ali sahieb bhi kai bar istefa dee chuke the.Aisa kaun hota hai kya sahi kam karna jurm hai kya? kHUDA IN IOOKUN KO SAMAJ DEE.AKHER TALEEM KA MATLAB KYA?BEJA TANQID YA MUSBAT TAMEER?

mohamed akram saifuddin (muscat oman)
Aug 29 2012

avatar

Khalil bhaw aap apna istifa wapas le lo kyu ke jin ki wajah se aap ne istifa diya hai aap ko inke ke bare mein kuch batane ki zarurat nahi hai kyu ke sab ko maloom ho raha hai.

FARHAN FAQQIHI (DUBAI)
Aug 29 2012

avatar

anjuman pehle bhi tha, aaj bhi hai, aur insha allah kal bhi phala pholta rahega.. koyi idara, trust, ya anjuman, kisi eak fard ya Zat par muhasir nahin hota,, jo jana chahte hain unko janein dein,,,

safeer shahbandri (bhatkal)
Aug 29 2012

avatar

mere desh premiyo apas mein prem karo mere desh premiyo..nafarat ki lati todo laloch ka khanzar pekho zid ke pecha mat dawdo mere desh premiyo mere bhatkaliyo.. khalil bhaw aap se ye umid nahi thi..aap jaise log agar maidan chod ke jayenge hum log ka kya hoga..aap hamare sarparast hai..pls pls we here heartly request u to take back your resignation..BECOZ OF SOME PEOPLE THIS HAPPEN..

HALIMA (dubai)
Aug 28 2012

avatar

Janab Khaleel Bhaw The Earlier , the better. One day Sachin will also ......Nothing will happen to indian team ....never ..but .. u will see indian team more brighter without legends...I hope he will not trouble the ......

Syed Muawwiz (UAE)
Aug 27 2012

avatar

Janab khalil saheb.aap itne samajhdar insan hone ke bawajood chand logoun ki baatoun mein aa kar resign de diya aap zara qoum ko bhi tho batao ke hum mein aise koun log hai jo is qoum ko,anjuman ko ,hamari qoumi jaidad ko barbad karna chahte hai aur aap unki raah mein rukawat lag rahe hai .aap siyasi sateh ke leader hai jis ki hum ko zarurat hai... Ye bhi sach hai ke ek insaan se idare nahi chalte mager ek ager sau ka ek ho tho ye hamari kismat hai.khaali masjidoun mein bait kar bhaichargi,ittihad,ki batein karne se, ya yahan wahan ke logou ko jamaa kar ke nafrat pehlane se bhi idare nahi chalte.gani bhaw,badar bhau,df hasan bhaw,chale gaye kya aaj tak aisa koi hum ko mila ? khalil bhau ki allah umer daraz kare aur hamare qaid ban kar anjuman ke sadar ban kar qoum ki khidmat kare ameen.

BIN HASSAN (DUBAI)
Aug 27 2012

avatar

Indeed Khalil bhao ki Anjuman ke liye khidmat naqabil faramoush hai.... Jamuhri Idaraon me ikhtilifat hote rehte hai, aur resign karna Khalil bhao ka dasturi haq hai..... Wo expreince wale hai, aur souch kar he resign kiya hoga shayed Khalil bhao ka istifa dena unke haq me aur Anjuman ke Haq me bhetar hoga.... Idare kisi afrad aur fard ke uper depend nahi karte, afrad to ate jate rehte hai aur idare baqi rehte huwai taraqi ki manazil te karte rehte hai, Allah Khalil baho ko Jaza khair de aur unko mazid qoum ki khidmat karne ka mouqa de... unki umar me barkat de quom ki khidmat karne ke liye kisi ohde par rehna zarori nahi.... Aur Anjuman ko aur behtar & efficient persident ata farmaye. Ameen, kisi ko nervous hone ki zaroorat nahi, jo kuch hota hai usi me khai hai,

Abu Mohammad (BHATKAL)
Aug 27 2012

avatar

Our community has abundance of talented people who can handle enormous responsibility. When I.H. and M.M. Siddique laid foundation stone of Anjuman there were few, very few. Anjuman developed, prospered with passage of time by sincere efforts of many individuals even with a weak financial background. Today we have lotss more educated and talented force to lead the community`s institutions We have to learn from history that power should be shifted frequently to other capable individual in order to maintain corporate equiliberium. Iam sure Anuman will Inshallah progress irrespecitve any person who leads it. In my personal view we must amend our Anjuman constitution, One term for one individual as president and other office bearer posts also. If Khalil Saheb has done any good work he should be applaused generously. At the same time we should not be disappointed as the community has pool of talented manpower.

Irfan Mohd Hamida (India)
Aug 27 2012

avatar

Khalil Saheb has record innning of being a president of Anjuman. Let somebody who has wealth of experience of running anjuman come forward to handle the helm of affairs. Man may come man may go but the institutions are here to stay. Good luck and Best Wishes to Khalil Bhav.

Mubashir Hassan Guda (Al Jubail)
Aug 27 2012

avatar

No community should depend on one person as indivisual centric community has little chances of growth. No individual is above than the institution. If any body think like that then it is a clear sign of immaturity.

Zahidullah Aramar (Saudi Arabia)
Aug 27 2012

avatar

Very Sad To hear... But . I Think Mr Syed Khaleel Bhaw has taken right decision at the right time.His Services is still needed for the community with or without presidential seat.He is our Qaid and does not need a parliamentarian seat. A Real Qiad is one who dedicates himself with/without seat.Leaders must know to step down with their dignity intact before anyone ......... and give chance to others

Syed Muawwiz (Dubai)
Aug 27 2012

avatar

ager khalil saheb ke istifa man anjuman ka khair hai to yahi sahi werna daulat ya rupye ke belboty keb tek queyadet ki ja sakti hai

nayeem ekkery (daira dubai)
Aug 26 2012

avatar

MOHTARAM KHALIL SAHEB! har jagah neech siyasat hoti hai hamari qoum mein bhi aaj kal aisi siyasat ho rahi hai mager ye siyasat itni ghatya hogi aur is ka shikaar aap jaisi qoumi khidmatgar shakhsiyat banegi is ka andaza hum ko nahi tha.jis tarah kashti ko kashti ke ander wala hi dhoobata hai bilkul isi tarah hamari qoum ko bhi dhubane wale aaj kal bahut ho gaye hai .ohdoun ,paisoun ke laluch mein jo ye kaam kar rahe hai kisi agency ke alahkar ban ker ye sab karne waloun ko, unki auladoun ko hamari qoum kabhi maaf nahi karegi.hairat wali baat hai ke aap jaise faithful aur powerful admi ke saat ye log aisa kar sakte hai tho aam admi ka ye log kya hashar karenge.

MOHAMMED YAHYA KAZIA (DUBAI)
Aug 26 2012

avatar

JB KHALEEL SAHEB AAP SE YE UMEED NAHI THIH KE KISI NE KUCH KAHA AUR AAP NE ISTIFA DE DIYA AAP KO QAID E QAUM KAHA JATA HAI AUR QAUM KA QAID KISI KE KEHNE PER AISA KAR SAKTA HAI SAB SE PEHLE AAP KO RESIGN KA REASON BATANA HOGA.AAP KO UN MIR JAFFER,MIR SADIQ,JAISOU KE NAAM BATANA HOGA JO HAMARE QAUM KO KHOKLA BANA RAHE HAI. QAUM AUR ANJUMAN KE LIYE AAP KI AUR ABDUL RAHIM SAHEB KI KHIDMAT KO FARAMOSH NAHI KIYA JA SAKTA HUM SAB KO AAP JAISE LEADERS AUR REHNUMAOU KI ZARURAT HAI.KURSI KA JHAGDA SARI DUNIYA MEIN CHALTA REHTA HAI MAGER KURSI KE LIYE KURSI KE QABIL LEADER KI BHI ZARURAT HOTI HAI AUR YE SAB HAR AIRE GHAIRE KA KAAM NAHI HAI HAMARA BHI EK GROUP HAI AUR HUM SAB AAP KE ISTIFE KE KHILAF HAI...SHUKRIYA.

YAHYA JAYFA (DUBAI)
Aug 26 2012

avatar

Assalamwalaykum,,,,Janab khalil saheb ne istifaa diya ,,aakhir kiyoon?aisa lagta hai ke intizaamiya main maujood chand log anjuman jaisey idarye mae bhi apna zati mafaad dekha hoga yaa phir koyi aisa kaam kiya hoga jo qaum yaa anjuman ke liye nuqsaanda ho,yaa phir wahi hamari purani aadat har kisikaa pawn khicheney ki koshis,,,,,isili ye khalil saheb ne apna istifa maiz per rakha hoga,lekin HUM apney KHALIL BHAW ke istifye ki purzor mukhalifat kartey hain,aur umeed kartey hain ke hazrat apna istifaa wapas le ker qaum ki musalsal khidmat kertey rahengey,,,,KHALIL BHAW please DONOT LEAVE US ON THE ROAD,,,WE REALLY REALLY NEED YOU SIR

ABDUL (BHATKAL MATTI)
Aug 26 2012

avatar

If Khalil Saheb is adamant about his stand then the responsbility should be shouldered by some other person as the our community has no dearth of capable people

Ayman Hassan Gutli (Dubai)
Aug 26 2012

avatar

JB KHALEEL SAHEB YE AAP KYA KAR RAHE HAI AAP KO HUM NE AISE HI QAID E QOUM NAHI KAHA HAI HUM NE SARI ZINDAGI AAP KI IZZAT KI HAI AAP KE HUQQ MEIN LIKHA HAI YE SAB IS LIYE NAHI THAH KE AAP YE QADAM UTHAYEN.AGER AAP KO KHUD APNI QIMAT KA ANDAZA NAHI THO HUM SE AUR HAMARI QOUM SE KAM AZ KAM POOCH LIYA HOTA ? KHALEEL SAHEB ISTIFA DENE SE PEHLE AAP QOUM KO APNE JAISA EK LEADER PEHLE DE DO PHIR ISTIFA DE DO KYA HAMARE PASS KOI AAP JAISA LEADER HAI ? 100% NAHI

SHAWLAMEED MALEKA DUBAI (DEIRA DUBAI)
Aug 26 2012

avatar

mohtaram janab khaleel sahib ko achanak istife dene ki zarurat kiyu pash aaye?

muhammad khubaib (saudi arabiya)
Aug 26 2012

avatar

A/S Khalil saheb istifa ki kabar sun kar bahut dukkh hogaya ai ? ANJUMAN ko mushkil se saammna kar na padega khalil saheb istifa wapas ley lany

Mohammed Ishaque Shabandri (Dubai)
Aug 26 2012

avatar

a/s qareen qaid e qawm kow is tarah ka amal zayb nahi data , unayh roju hownay ki tawfeeq ata farmai

md uzair (india)
Aug 26 2012

avatar

Khalil saheb ki istefa ki khabar sun kar dil ko dhakka laga. Khalilsaheb jaisao ki anjuman ko sakt zaroorat hai. Un ka istefa na manzoor hona chahiye. Mai pure chowk bazar ke naujawanao ki taraf se khalilsaheb ke Istefa ki pur zor mukhalifat karta hun.. Khali saheb qaum ko ap ki zaroorat hai. Ap qaum ka sarmaya hain.

Mohammed Nazim Mohtisham (Bhatkal)
Aug 26 2012

Leave a reply for this Article

Name *
Email * Phone * Location * Comment *
* your email and phone will be private and confidential by clicking on submit button you agree to our TOS