Detail News

5responses

avatar

jamia hamare qaum wa millat ka sermaye hayath hai ager uski apni aulad yane O.B.apne is ghar ki 50 sala karkadi ki khushi mana chah rahi hai tho dunyawi atibar se ek achchi baat hai jaise aalami aetibar se jamia ka ta aaruf bhi hai .waise jamia ta aaruf ka mohtaj nahi hai phir bhi khai mera ek mashwara a hai muntazimeen jamia se a hai k jis terha chote chote bachchou k liye aajkal english miduem school ban rahe hai dunyawi faide k liye esitherha ager jamiya me chote bachchou k liye arabic miduem class shiru ki jae to bachche hifz mukammal hote hote quraan samaj ker padna shiru karega aur a arabic miduem hafiz hone wale her bachche k liye zaruri honi chahi a waise almiyet kerne wale k liye bhi zaruri hai kash ke ham bhi quraan ko samaj ker padte ya hifz kerte tho padne ka ajer wa sawab tho hai hi maza bhi aata quraan ko ajjmiou ke liye aasan kerne wale ne hame quraan ko samajne se tadabbur aour gour wakhaus kerne se hi dhoor ker diya

ainulhaque (aljubail)
Jan 22 2012

avatar

aafque shoupa ki bat se mien ittefaq rakhta hun.jamiya islamiya eak aisa idara hai jiski misal dosre madaris se nahin di jati, rahi bat paisaun ke kharche ki malo doulat ka ata karne wala allah rabbul izzat hai.jo paisa kharch kiya jaraha hai wo maqsad e azeem ke liye hai..shadi bayah ke moqe par israf nahin horaha,, agar jamiya ke is program me kharch kiye jane wale paise israf hain to phir har sal sheher me kayi tournament munaqid kiye jate hain, wo bhi israf hai. jalse wo jloos munaqid kiye jate hain wo bhi israf hai.. schoolaun aur coleges me gathering ke nam par paise kharch kiye jate hain wo bhi israf hai.. shadi biyah me Shamiyane aur khane par lakhaun rupiye kharch kiye jate hain wo bhi israf hai..shaitar ne Bapu ko puri tarah jhinjhod kar rakh diya hai, aur in ke zarye jo log is kar e khair me ikhlas ke sath hissa lena chah rahe hain un ke ikhlas par hamla kiya jara hai , aur logaun nek niyyati ko israf ke sath tabeer kark rah bhatkana chahta hai.. kash jamiya ke mukhalifeen ko is bat ka ilm hota ke aaj jamiya aalami sateh par apni pehchan bana chuka hai.. wise bhi Mukhalifeen jitne ziyada honge utna hi jamiya taraqqi ki taraf badhege... mien to yahi kahunga ke aise logaun ke mun hi na lage.. aur quran pak k is aayat par Amal karte huwe Salam kar ke nikal jayieng..( wa iza khataba humul jahiloona qalu salama( tarjuma: jab tum jahil qism ke logaun se mukhatab ho to salam karke wahan se khisak jau..............safeer_sahil ( bhatkal/bangalore)

()
Jan 20 2012

avatar

assalam o alaikum mr afaque saheb ne bilkul sahi kha hum aap ki baat se muttafiq hain

faiyaz ahmed (muscat oman)
Jan 19 2012

avatar

Mr. Syed Bapu, Yeh Jo Lakhon rupyon ka Kharcha ho raha hai , Is ka Maqsad sirf aur sirf deen ki ishaa\'at hai. Jab hamare laakhon rupye badi badi taameraat me , ghumne phirne aur naam o namood me kharch hote hain tab aap jaise log sawaal karne me piche kyun reh jaate hain , Janab Syed bapu sahab.. Aur rahi gareebon par kharch karne ki baat , Aap jaante hi kya hain ke hamare bhatkal me kitne aise mukhlis maaldaar hain jo hazaaron khandano ki zimmedarian uthaen huen hai, Aap ko jab jamia ka kuch nazar aya to aapki samajh me nahi araha hai.. waise aapki samajh me ayega bhi nahin ke deen ki isha\'at ke liye jamia islamia se kya kya kaam ho raha hai, Jamia Zinda to Deen Zinda , Aur Deen zinda to Hum Zinda !!!

Afaque Shoupa (Dubai)
Jan 19 2012

avatar

salam u alikum/ meri samaj me nahi araha hai ke lakhaw rupe kharch kar ke kiya hasil hoga agar ye paisa bhatkal me gareeb afrad par kharch kiya jaye to acha hoga

syedbapu (bhatkal)
Jan 19 2012

Leave a reply for this Article

Name *
Email * Phone * Location * Comment *
* your email and phone will be private and confidential by clicking on submit button you agree to our TOS